Benefits of Apple Fruit in Hindi

Benefits of Apple Fruit in Hindi – Janiye Seb Khane Ke Behtareen Fayde



Benefits of Apple Fruit in Hindi


English mein ek kahawat hai ki “An apple a day keeps the doctor away” asal mayno mein yeh kahawat poori tarah sach hai seb itne poshtik tatvo se bharpoor hota hai ki yeh hmari poori body ko healthy aur nirog rakhta hai. 


Agar aap har roz ek seb khate hain to kabhi bimar nahi honge. Kyunki seb body ko ander se strong karta hai aur rogon se ladne ki shamta deta hai. 

Seb ek tarah ka sehat ke liye vardan hai jis se kayi parkar ke rog thik ho jate hai chahe weh heart problem ho, pet ki taklif ho ya immune system ko badhana ho yeh sab rogo ke ilaj mein sahayak hain. Niche seb ke kya kya fayde hain unko bataya gaya hai.


Apple Yani Ki Seb Khane Ke Fayde


1) Achi Sehat Ke Liye : Wese ko sabhi falon mein kuch na kuch gun hote hain lekin seb ek aisa fal hai jo sab parkar ke guno se bharpoor hai aura chi health ke liye bahut hi laabhdayak hai. Seb mein iron, fiber, aur kayi poshak tatv hote hain jo health ko acha rakhne mein sahayak hote hain.


2) Anemia Ke Liye Gunkari : Seb mein kayi parkar ke rogo se ladne ki shamta hoti hai jinme se ek rog hai anemia. Seb se anemia rog bhi thik ho jata hai agar anemia ka rogi har roz 2-3 seb ka sewan kare to anemia se bach sakta hai. Kyunki isme iron ki bharpoor matra hoti hai jo anemia ke rogi keliye bahut hi zaroori hai.


3) Pachan Kriya Ko Swasth Rakhta Hai : Seb ka ek khaas gun yeh hai ki yeh pachan kriya ko swasth rakhta hai. Kyunki isme achi matra mein fibre paya jata hai isliye yeh pachan kriya ke liye gunkari hai agar seb ko chilke ke saath khaya jaye to yeh kabaj ko thik karta hai.


4) Daanto Ko Swasth Rakhta Hai : Seb daanto ko bhi swasth rakhne mein madad karta hai seb mein fibre hota hai jo daanto ke liye bahut hi acha hai Isme anti virus properties hoti hain jo bacteria aur virus ko door rakhti hain. Is liye seb khaane se daant swasth rehte hain.


5) Energy Level Ko Badhata Hai : Seb ka ek aur khaas gun yeh hai ki yeh sharir mein energy ke level ko badhata hai isliye jo log workout karte hain unhe yeh salah di jati hai ki we workout se pehle seb ka sewan Karen kyunki yeh energy ke level ko badhata hai Aur sharir mein urja ki vridhi karta hai.


6) Immune System Ko Badhaye : Seb ek aisa guno se bharpoor fal hai jobody mein immune system ko badhane mein bahut hi sahayk hota hai. Jolog jaldi bimar ho jate hai uska karan hota hai ki un logo ka immune system kamzor hona aur agar weh har roz seb ka sewan kar lein to unka immune system bahut strong ho jayega. Bachon ko khaskar seb zaroor khilana chahiye taki we ander se strong rahen.


7) Heart Ko Swasth Rkhta Hai : Seb heart ke rogon se bhi apki body ka bchav karta hai. Yeh dil ke raktchap ko normal rakhta hai jis se heart swasth rehta hai. Yeh heart ki dhamnion mein jamne wali gandgi ko saaf karta hai jis se heart attack ka khatra kam ho jata hai.


8) Weight Kam Karta Hai : Kya aap jante hain ki seb adhik wazan ko bhi kam karne mein sahayak hai. Seb mein bharpoor matra mein fibre hote hain jo ki wazan kokam karte hai. Seb cholesterol ko kam karta hai jis se motapa bhi kam ho jata hai.


9) Diabetes Per Control : Seb madhumeh ke rogion ke liye bhi ek chamatkari dawa hai jis se sugar ke level ko niyantrit kiya ja sakta hai. Seb mein ghulansheel fibre hote hain jo sugar ki matra ko kam karte hain. Sugar ke patient ko har roz seb khana chahiye.


10) Mansik Rogo Se Bachata Hai : Seb ka ek aur gun yeh hai ki yeh sharir ke saath saath mansik bimarion ki roktham mein bhi bahut laabhdayak hai. Vegyaniko ka yeh man na hai ki agar har roz 1glass seb ke juice ka sewan kiya jaaye to yeh dimag ko tadrust rakhta hai.


11) Twacha Ko Sunder Banaye : Seb aapki kewal ander se hi health ko acha nahi karta balki yeh aapki bahri skin ko bhi sunder banata hai seb ka har roz sewan karne se twacha bahut hi sunder aur bedag ho jati hai. Is se aapki skin healthy aur glowing rehti hai. Is se daag aur dhabe tak door ho jate hain.


12) Cancer Se Bachav : Seb mein bahut sikhatarnak bimarion se ladne ki bhi shamta hoti hai agar aap niymit roop se seb ka sewan karte hain to cancer se apne aapko bacha sakte hain. Yeh kayi parkar ke cancer ko control karta hai. Breast cancer aur bhi kayi parkar ke cancer control hote hain seb se.


Conclusion


Is parkar seb ek bahugunkari fal hai jo har umer ke vyakti ko har roz zaroor khana chahiye agar swasth rehna ho to seb se behtar koi aur fal nahi hai.

*

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post